Kal toh jaakar kisi ke neeche kaam karna hai
Par aaj toh hume apne marzi ka maalik bane rehne do
Abhi kuch daer aur yahan reh lene do
Kal toh in kandhon par zimmedariyaan aa jayengi
Par aaj toh in par yaaron ke haath rehne do
Abhi kuch daer aur yahan reh lene do
Kal toh office mein baith kar deewaar par lagi ghadi ko hi dekhte rahenge
Par aaj iss khule aasmaan ke tale khade hokar uss chand ko taakhte rehne do
Abhi kuch daer aur yahan reh lene do
Kal toh hum waqt ke saath daud lagaya karenge
Par aaj toh hume waqt ki bezzati kar lene do
Abhi kuch daer aur yahan reh lene do
Kal toh aadhi aadhi raat tak kaam ke saath khelte rahenge
Par aaj raat toh doston ke saath khel lene do
Abhi kuch daer aur yahan reh lene do
Kal toh shayad gaane sunne ka hi waqt mile
Par aaj doston ke saath theatre me ek aur film dekh lene do
Abhi kuch daer aur yahan reh lene do
Kal toh sirf ghar se office aur office se ghar ka raasta naapte rahenge
Par aaj naye aur anjaane shehron ka safar tay kar lene do
Abhi kuch daer aur yahan reh lene do
Kal toh hum baithe baithe kabhi tanhaai mein yaad kar liya karenge
Par uske liye aaj kuch aur haseen palon ko yaadgaar bana lene do
Abhi kuch daer aur yahan reh lene do
Thursday, March 19, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment