Thursday, March 19, 2009

Insaan masroof hai

Insaan masroof hai ilm haasil karne mein
Naa ki uspar amal karne mein

Insaan masroof hai apne takleefon ki fehlis banane mein
Naa ki unhe suljhaane mein

Insaan masroof hai auron ke aeb aur nuks saari duniya ko batane mein
Naa ki apne aap ko sudhaar ne mein

Insaan masroof hai saari duniya khareedne mein
Naa ki apne paas ki cheezon ki kadar karne mein

Insaan masroof hai manzilein talaashne mein
Naa ki safar ka luft uthane mein

Insaan masroof hai pyar dhoondne mein
Naa ki pyar karne mein

Insaan masroof hai phool aur phal ikhatta karne mein
Naa ki beej bone mein

Insaan masroof hai jeetne aur jitaane mein
Naa ki khelne mein

Insaan masroof hai networking karne mein
Naa ki rishtey nibhaane mein

Insaan masroof hai apne aap ko sawaarne mein
Naa ki kisi ki madad karne mein

Insaan masroof hai khuda ke naam par jung karne mein
Naa ki uski ibadat mein

Insaan masroof hai sochne mein
Naa ki karne mein

Insaan masroof hai zindagi kaat ne mein
Naa ki zindagi jeene mein

2 comments:

  1. Deep and introspective...My favourite poem...by Shayar Faizi

    ReplyDelete
  2. Mashaallah... keep it up...what u said.. it's really "TRUE"...

    ReplyDelete