Thursday, March 19, 2009

Kyun aajkal dil me yeh sawaal uth te hain.

Kyun din me khwaab dekhna bewakoofi hai.
Kyun khayaali pulaao pakaana bachpana hai.

Kyun pariyon ka desh sirf bachon ke liye hai.
Kyun zehen har cheez me nuks dhoondta hai.

Kyun dil darta hai har who cheez karne se jo bachpan me karte the.
Kyun kisi gaane par jab jhoom uth ta hai jiya, toh kadam nahi jhoomte.

Kyun kisi hunar me khojaane ke bajaae, hum use tolne lagte hain.
Kyun hum apne hi ird gird ki khoobsoorti se bekhabar rehte hain.

Kyun har harqat, har khwaaish ki safai deni padhti hai.
Kyun chote se chota ghum bhi zakham de jaata hai par choti choti khushiyaan
bagaer aahat ke guzar jaati hai,

Kyun aajkal zubaan se baddua nikalti hai.
Kyun dilon me pyaar ke bajaae dosron ki buraai bhari hai.

Kyun kisi ke dil me jagah na hote hue bhi, unse beintehaa mohabbat karna
paagalpan hai.
Kyun har rishtaa laen daen ke taraazu me tola jaa raha hai.

Kyun ensaan khud apni kadar nahi karta.
Kyun aajkal dil me yeh sawaal uth te hain.

1 comment:

  1. I love this one esp. the line " kyun ensaan khud apni kadar nahi karta".

    ReplyDelete