Thursday, March 19, 2009

Indian Woman - kal, aaj au kal...

Kal tak meri pehchaan kisi aur ke naam ki mohtaaj thi
Aaj maine apna naam aasmaan par likh diya hai

Kal tak mere sapne, siwaaye mere, sabke the
Aaj meri in nazron mein mere aane wale kal ki tasveer hai

Kal tak, khwaish, is lafz se anjaan thi
Aaj mujhe in khwaishon ko haqeeqat mein badalna aata hai

Kal tak main sirf ek sundar taareef karne ki cheez thi
Aaj main auron ki nazar mein kabil-e-tareef hoon

Kal tak meri zubaan auron ke ishaaron par naachti thi
Aaj apni aawaz mujhe buland karna aata hai

Kal tak maine dard ko sehna seekh liya tha
Aaj apne haq ke liye ladna mujhe aata hai

Kal tak khoobsurati mere liye upari sajawat thi
Aaj maine is khoobsurati ko andar se mehsoos kiya hai

Kal tak mera har lamha kisi aur ka tha
Aaj, aur aanewala kal, sirf mera hai, sirf mera...

No comments:

Post a Comment